Search This Blog

Friday, February 16, 2018

Prinday Ke Faryaad

Poem: Prinday Ke Faryaad
Writer: Allama Muhammad Iqbal



Poetry lyrics,
Ata Hai Yaad Mujh Ko Guzra Huwa Zamana
Ata Hai Yaad Mujh Ko Guzra Huwa Zamana
Woh Bagh Ki Baharain, Woh Sub Ka Chehchana

Ata Hai Yaad Mujh Ko Guzra Huwa Zamana

Azadiyan Kahan Woh Ab Apne Ghonsle Ki
Azadiyan Kahan Woh Ab Apne Ghonsle Ki
Apni Khushi Se Ana, Apni Khushi Se Jana

Ata Hai Yaad Mujh Ko Guzra Huwa Zamana

Lagti Hai Chot Dil Per, Ata Hai Yad Jis Dam
Lagti Hai Chot Dil Per, Ata Hai Yad Jis Dam
Shabnaam Ke Ansuon Per Kaliyon Ka Muskarana

Ata Hai Yaad Mujh Ko Guzra Huwa Zamana

Vo Payari Payari Soorat, Vo Kamni Si Moorat
Vo Payari Payari Soorat, Vo Kamni Si Moorat
Abad Jis Ke Dam Se Tha Mera Ashiyana

Ata Hai Yaad Mujh Ko Guzra Huwa Zamana

Ati Nahin Sadaen Uss Ki Mere Qafas Mein
Ati Nahin Sadaen Uss Ki Mere Qafas Mein
Hoti Meri Rehai Aey Kash Mere Bus Mein

Ata Hai Yaad Mujh Ko Guzra Huwa Zamana

Kya Badnaseeb Hun Mein Ghar Ko Taras Raha Hun
Kya Badnaseeb Hun Mein Ghar Ko Taras Raha Hun
Sathi To Hain Watan Mein, Main Qaid Mein Para Hun

Ata Hai Yaad Mujh Ko Guzra Huwa Zamana

Ayi Bahar, Kaliyan Phoolon Ki Hans Rahi Hain
Ayi Bahar, Kaliyan Phoolon Ki Hans Rahi Hain
Mein Iss Andhere Ghar Mein Kismat Ko Ro Raha Hun

Ata Hai Yaad Mujh Ko Guzra Huwa Zamana

Iss Qaid Ka Elahi! Dukhra Kise Sunaun
Iss Qaid Ka Elahi! Dukhra Kise Sunaun
Der Hai Yahin Qafas Mein Main Gham Se Mer Na Jaun

Ata Hai Yaad Mujh Ko Guzra Huwa Zamana

Jab Se Chaman Chuta Hai, Ye Haal Ho Gya Hai
Jab Se Chaman Chuta Hai, Ye Haal Ho Gya Hai
Dil Gham Ko Kha Raha Hai, Gham Dil Ko Kha Raha Hai

Ata Hai Yaad Mujh Ko Guzra Huwa Zamana

Gana Issay Samajh Ker Khush Hon Na Sonane Wale
Dukhe Huwe Dilon Ki Faryad Yeh Sada Hai

Azad Mujh Ko Ker De, O Qaid Kerne Wale!
Main Bezuban Hun Qaidi, Tu Chor Ker Dua Ley

No comments:

Post a Comment